Dosto free ne sikhiye ki kis tarah hum apne Computer / Laptop ko clean kar sakate hai, jaise ki unused files, unwanted files and junk files ko delete karake. Just one click karake aap 2 minute me aap unused file puri tarah remove kar sakate ho. Jab apka system Hang / Load le raha hai to uska problem bhi yahi ho sakata hai unused files. Aur aapki kafi sari Hard Drive ki space is file mai use hoti hai, isko delete karake aap HDD ki space ko free kar sakate ho.
Dosto jyada tar in files mai malicious files hoti hai, jisase aapke system ka performance very slow ho jata hai aur apko high quality wale projects ya kisi bhi work ko karane mai pareshani aati hai.
To apko iss post mai kafi sari jankari di hai ki kis tarah unused files ko apne Computer/Laptop se delete ya remove kare ye sari free procedure hai. Aur jyada se jyada iss post ko social media par share bhi kijiye.
Unused Files Ko Delete Karane Ki Full Process Step-By-Step
Apko yaha diye gaye sabhi steps ko end tak follow karana hai, tabhi aap sabhi files ko remove ya delete kar payenge bilkul acche tarikhe se.
Step - 1
Aapko windows ke search bar ko open karana hai, aur usame search Kijiye "Run".
Aap direct Windows + R ko press karake bhi run command ko open kar sakate ho.
Step - 2
Windows mai Run Command open hone ke bad apko usame type karna hai "temp" aur niche ok pe click kijiye.
Ok par click karne ke bad apke samane ek naya window open hoga, waha par apko sabhi temp files ko select kara hai, all select aap Ctrl + A se bhi kar sakate ho. Select hone bad apko sabhi ko delete karana hai.
Step - 3
Phir se apko run command ko open karana hai, aur aab apko type karana hai "%temp%" phir enter button press kijiye.
Waisa hi apke samne phir se windows open hoga aur waise hi apko sabhi %temp% files ko select all karake delete karana hai.
Dosto i hope ki aapne sabhi steps ko end tak follow kar liya hoga aur aapko sabhi information step by step samaz aa gayi hogi. Agar kuch problem hai to jarur comment kare aur latest update ke liye aap hame social media par Follow bhi kar sakate ho.
Hi to all, the blog has really the dreadful information I really enjoyed a lot.
ReplyDeleteclick here for info